Sapnon mein jiya karte haen..

Sapnon mein jiya karte haen..
– A reflection on certain ‘mindsets’ I’ve seen
(Hindi/Urdu poem written in Roman/English script below)
——-
Sapnon mein jiya karte haen..
Sapnon mein maraa karte haen.
Sapnay dikhaya karte haen..
Aur sapnay zaayaa karte haen.

Zidd ko pyar aur shatranj ki jeet ko iqraar kaha karte haen.
Khubsurat chehre, par niyatein siyaah rakhte haen.
Sapnon mein jiya karte haen..
Sapnon mein maraa karte haen.

Apnaapan jataane ke naam pe..
Gudde-gudiyon ki kahaani bayaan karte haen..

Insaniyat ki numaaish par fitrat kuchh juda hee rakhte haen..

Masoomiyat ka zikr kare na thaka karte haen..
Par na jane kyun, masoom hua kabhi na karte haen.

Sapnon mein jiya karte haen..
Sapnon mein maraa karte haen.

Sanak sharton ki bas ho jaae poori ..
isay pyaar vo kaha karte haen..
par vaar jaaein jo khudko kisipar..
Na jaane fir ise vo kya kaha karte haen.

Aise bhi haen kuchh log jo,
Sapnon mein jiya karte haen..
Sapnon mein maraa karte haen.
Sapnay dikhaya karte haen..
Aur sapnay zayaa karte haen.

—–

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s