(hindi/devnagri version given below)
zameer ..
kuchh jaage hue..
kuchh sote hue
kuchh mrit..
kuchh andhe ..
aur kuchh aankhon ko bheenche hue..
bheed ho jis ore
bas waheen ke ho lete haen ye dil humare
sab sote thhay ..
to bhala kyon jaagte ye zameer humare..
zameeron ki lashein padin theen wahaan..
to humne bhi socha chalo hum bhi paer yaheen pasaarein..
kuchh dhritraashtra ke se thhe zameer..
to humnein bhi socha chalo pattee baandh hum tarazu nacha lein..
kai baar saha na gaya..
to chal diye bas aankhein bheench
aur sar kabhi jhukake aur kabhi pare ghumake..
ek kiran dikhi hai abhi ..
aur jaagein hain zameer kuchh shayad..
aur ainak ke peechhe se uski aankhein humein haen lalakarein..
news wale kehte haen “bhari pad rahe haen Anna Hazare”..
aur bheed bhi hai wahaan.. jo chahiye hoti hai zameer ko humare..
baki sab taraf chal ke to dekh hee liya hai..
chalo.. dekh lein uss ore bhi tashreef ke tokre sarkake..
ज़मीर ..
कुछ जागे हुए ..
कुछ सोते हुए
कुछ मृत ..
कुछ अंधे ..
और कुछ आँखों को भींचे हुए ..
भीड़ हो जिस ओर..
बस वहीं के हो लेते हैं ये दिल हमारे ..
सब सोते थे ..
तो भला क्यों जागते ये ज़मीर हमारे ..
ज़मीरों की लाशें पड़ीं थीं वहाँ ..
तो हमने भी सोचा चलो हम भी पैर यहीं पसारें ..
कुछ धृतराष्ट्र के से थे ज़मीर ..
तो हमनें भी सोचा चलो पट्टी बाँध हम भी तराजू नचा लें ..
कई बार सहा न गया ..
तो चल दिए बस आँखें भींच ..
और सर कभी झुकाके और कभी परे घुमाके ..
एक किरण दिखी है अभी ..और जागे हैं ज़मीर कुछ शायद ..
और ऐनक के पीछे से उसकी आँखें हमें हैं ललकारें ..
news वाले कहते हैं “भारी पड़ रहे हैं अन्ना हजारे “..
और भीड़ भी है वहाँ .. जो चाहिए होती है ज़मीर को हमारे ..
बाकि सब तरफ चल के तो देख ही लिया है ..
चलो .. देख लें उस ओर भी तशरीफ़ के टोकरे सरकाके ..
Leave a Reply