Kuchh to hai vo baat..

(Devnaagri/Hindi version also given below)

Kuchh to hai vo baat..
Jo aaj tak hum keh nahee paaye haen..

Huuk hai kuchh kehne ki..
Par kya, ye dhoondh nahi hum paye hain..

Jaise ek bahaav ho, gati ho, par jal nahi..
Maujein to hon par sagar nahi..
Jhankar to ho..par swar nahi..

Kitne hee sangeetagyon ne sadiyon se karoron geet gungunaae haen..
Aaj bhi gaa rahe haen…
Maano reh gaya ho aajtak vo ek geet ankaha..

Shilpkaaron ne taraashe haen parvat bhi…
Aur chitrkaaron ne bhi kiye haen prayaas kai..
par jaise ek chhavi reh gayi hai mann mein…
Aur sabhi haen aashaanvit ke utaar hee lenge shayad aaj canvas pe..

Likhi jaati haen kitni hee kavitaaein..
Ravi na pahuche jahaan…wahaan bhi kaviyon ke mann pahuch jaein..
Par na jane kya hai kehna ..
Ke keh dein aur thame zara ye mann ka behna..

========================

Devnaagri/Hindi version

कुछ तो है वो बात ..
जो आज तक हम कह नहीं पाए हैं ..

हूक है कुछ कहने की ..
पर क्या , ये ढूंढ नहीं हम पाए हैं ..

जैसे एक बहाव हो , गति हो , पर जल नहीं ..
मौजें तो हों पर सागर नहीं ..
झंकार तो हो ..पर स्वर नहीं ..

कितने ही संगीतज्ञों ने सदियों से करोड़ों गीत गुनगुनाए हैं ..
और आज भी गा रहे हैं …
मानो रह गया हो आजतक वो एक गीत अनकहा ..

शिल्पकारों ने तराशे हैं पर्वत भी …
और चित्रकारों ने भी किये हैं प्रयास कई ..
पर जैसे एक छवि रह गयी है मनन में …
और सभी हैं आशान्वित के उतार ही लेंगे शायद आज canvas पे ..

लिखी जाती हैं कितनी ही कविताएँ ..
रवि न पहुचे जहां …वहाँ भी कवियों के मन पहुच जाएं ..
पर न जाने क्या है कहना ..
के कह दें और थामे ज़रा ये मन का बहना ..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s